Du er ikke logget ind
Beskrivelse
Yah upanyaas tinkal solanki ki dusri rachana hai, jismein bachpan ke yaron ki yari ko darshaya gaya hai. Dosti ke mehtv ke sath-sath prakruti ke Vishay ko bhi ubhaara gaya hai. Ragini aur rakesh bachpan ke dost hote hain. Koi bhi kaam ho dono sath mein hi karte rahte hain. Kuch kaaranon ke kaaran ye dono dushman ban jate hain. Shubham aur saanvi bhi jo hamari kahani ke pramukh abhineta hain, bachpan ke dost hote hain. Ek pratiyogita mein ye dono bhag lete hain aur use jitney ki ji-jaan se koushish karte hain. Kyonki is ek pratiyogita par in Charon ki dosti aur inaka bhavishya nirbhar karta hai.