Du er ikke logget ind
Beskrivelse
Insaan sikhna chahe ya na sikhe, itihaas ne hamesha ye darshaya hai keval talvarose jang nahi jiti gayi, sampatti se punya nahi kharida gaya, kal chakra par kisi ka jor nahi chalta, udarata ne kabhi hinsa, nafrat ya dushmani ka daman nahi pakda, manav aur prakriti ka rishta atut hi raha, guru ki mahanata aur parakrami purusho ki, pashu-sainiko ki vafadari, tyag-veerta ka aakalan koi nahi kar saka.
ye vo rang-bheeni mitti hai jisne bhagwan ko bhi majbur kiya avtaar lene par, jinhe manushya rup me in sabhi jivan chakra se gujarana pada aur atit/itihas ka hissa banana pada.
aise swarnim itihaas ko shatashaha naman