Du er ikke logget ind
Beskrivelse
Yatra, safar, ghummakadi-har kalpnisheel insan ki khwahish hoti hai ki wah duniya ke kone kone me jaye, itihas ke anchhueye, andekhe, kitabon men padhe sthanon ko dekhe, us daur ko apne man ki aankhon se sakshat dekhe. Inhin sadkon par kabhi itihas-prasidhh raja-raniyan ghoome hain, yahan bhayanak jansanhar huye hain, tasweeron me dekhe samandar ki lahren hakikat men kaise chattanon par aa aa kar takrati hain, jangal ke raja ke kshetr me jakar usase ru-ba-ru hona-ek athah kshetr hai anubhawon ka. Kuchh aise hi anubhavon ko suprasidhh lekhika Mridula Garg ne apni rochak varnanatmak shaili me apne is yatra sansmaran me ukera hai. Note: This book is in the Hindi language and has been made available for the Kindle, Kindle Fire HD, Kindle Paperwhite, iPhone and iPad, and for iOS, Windows Phone and Android devices.