Du er ikke logget ind
Beskrivelse
Pustake samaj ka darpan hoti he esa kaha jata he kyoki kuch varshon pehle tak darpan ki satyata par Vishwas tha, par vartaman me darpan dikhana duruh isliye ho gaya he kyuki darpan dekhna ab koi nahi chahta, har vyakti darpan me kewal vahi Chavi dekhna chahta he jo usne soch rakhi he, or yahi karan he ki aj kitabe likhna to Badstur jari he lekin padne wale kam hogaye he
Pehle jab tak manushya samajik prani tha tab tak sab sahi tha par jabse manushya ne samajikata ko chodkar dharmikta or rajneeti ka labada odh liya tabse nishpakshata ke lekhan or pathan me nyunata aati gayi, aaj ka dor social media ka he jaha swayamistishk se srajit lekhan ka isthan nafrati posto ne le liya he, usi ko copy paste karke prasarit karne ko hi prasarak swayam ko samajik prani samajh leta he
Vartaman me avyavasthao par ungli uthana or un par likhna esa ho gaya he jese angrejo ke shasan kal me svatntrata ke liye likhna ya bolna par Kalam ka kartavya
Hi he sach ko likhna or usi kartavya path par chalte hue jwalant samasyao par likhe gaye mere lekho ke sangrah ko pustak me piroya he or nam diya he ""Kalam ka aveg""
Nishchit rup se in lekho se aapatti jyada hogi kyoki Satya ko bardasht karne ki shamta aaj ke dor me nyun he mere lekh to bardasht ki sima me he par ab jamana nakabile bardasht ho chuka he
To lijiye prastut he ""Kalam ka aaveg"" aaina dikhane ke liye...